Manzoor Arif

kaise aa pahunchi hai gulshan ki hawa zindan mein

Manzoor Arif

Attock, Punjab, Pakistan

1924-1980
kaise aa pahuñchī hai gulshan kī havā zindāñ meñ
dil kā jau zaḳhm thā ik phuul banā zindāñ meñ
aisā dil-kash thā ki thī maut bhī manzūr hameñ
ham ne jis jurm kī kaaTī hai sazā zindāñ meñ
maiñ gulistāñ meñ bhī tanhā thā magar yaad to thī
kaisā be-yār-o-madad-gār huā zindāñ maiñ
maiñ nai tanhā.ī se tañg aa ke use yaad kiyā
ab mire saath hī rahtā hai ḳhudā zindāñ meñ
vo jo gulshan meñ mire ġham kā mudāvā na huā
chāñd niklā to use yaad kiyā zindāñ meñ
aaj jab aañkh khulī hai to fazā hai ḳhāmosh
sub.h-dam kaun sū-e-dār gayā zindāñ meñ
Top Urdushayar.com