vo jo mahv the sar-e-ā.ina pas-e-ā.ina bhī to dekhte
kabhī raushnī meñ vo tīrgī ko chhupā huā bhī to dekhte
to ye jaan lete ki sach hai kyā ye jo fard-e-jurm hai sab ġhalat
vo jo paḌh ke matn hī rah ga.e kabhī hāshiya bhī to dekhte
sar-e-āb-jū rahe tishna-lab to ye zabt-e-ġham kī hai intihā
mire haal pe the jo nukta-chīñ mirā hausla bhī to dekhte
vo utar ga.e the jo paar ḳhud mujhe biich bahr meñ chhoḌ kar
thā jo un meñ itnā hī hausla mujhe Dūbtā bhī to dekhte
jinheñ mujh se hai ye gila ki maiñ rahī be-niyāz-e-ḳhulūs-o-rabt
mere gird rasm-o-rivāj kā kabhī dā.era bhī to dekhte
vo mirī ḳhushī se haiñ ḳhush-gumāñ ki nashāt-e-zīst hai mudda.ā
mire ashk-e-ġham kā rukā huā kabhī qāfila bhī to dekhte