siine meñ rāz-e-ishq chhupāyā na jā.egā
ye aag vo hai jis ko dabāyā na jā.egā
sun lījiye ki hai abhī āġhāz-e-āshiqī
phir ham se apnā haal sunāyā na jā.egā
ab sulh-o-āshatī ke zamāne guzar ga.e
ab dostī kā haath baḌhāyā na jā.egā
ham aah tak bhī lā na sakeñge zabān par
vo ruuTh jā.eñge to manāyā na jā.egā
vo duur haiñ to dil ko hai ik iztirāb sā
vo ā.eñge to aap meñ aayā na jā.egā