is but se dil lagā ke bahut sochte rahe
sabr-o-sukūñ luTā ke bahut sochte rahe
jab sāmnā huā to zabāñ ruk ga.ī mirī
vo bhī nazar jhukā ke bahut sochte rahe
dīvāngī-e-shauq meñ apne hī haath se
ghar apnā ham jalā ke bahut sochte rahe
umDā jo abr yaad ne un kī rulā diyā
ḳhālī subū uThā ke bahut sochte rahe
kahte kise chaman meñ luTe āshiyāñ kī baat
tinke uThā uThā ke bahut sochte rahe
dekhā ye jab ki yās-o-tabāhī hai hashr-e-ishq
aañsū bahā bahā ke bahut sochte rahe
'āfat' bashar ne jab bhī bashar par kyā sitam
ham dukh se tilmilā ke bahut sochte rahe