nasīb apnā zarā aazmā ke dekheñge
charāġh-e-shauq havā meñ jalā ke dekheñge
machal machal ke kahāñ tak ye barq girtī hai
chaman meñ phir se nasheman banā ke dekheñge
falak ko zid hai ki ham ko rulā ke dekhegā
hameñ ye zid hai use muskurā ke dekheñge
jhukā.e baiThe haiñ ab un ke dar pe sar apnā
kabhī to vo hameñ āñkheñ uThā ke dekheñge
mile sakūñ dil-e-muztar ko vo jagah hai kahāñ
jahān-e-ġham se bhī ham duur jā ke dekheñge
vo bach ke jā.eñge kab tak nazar se ai 'āfat'
ham apne dil meñ ab un ko basā ke dekheñge