Lalan Chaudhary

asiran-e-ishq-e-butan aur bhi hain

Lalan Chaudhary

Gajpur, Uttar pradesh, India

1923
asīrān-e-ishq-e-butāñ aur bhī haiñ
nahīñ maiñ hī mahv-e-fuġhāñ aur bhī haiñ
abhī ye jafā kā hai āġhāz ai dil
vafā ke abhī imtihāñ aur bhī haiñ
nahīñ ik falak kī hai mujh par ināyat
mire haal par mehrbāñ aur bhī haiñ
hamīñ se hai kyuuñ laag barq-e-tapāñ ko
chaman meñ ka.ī āshiyāñ aur bhī haiñ
rah-e-ishq meñ miT ga.e ham to kyā ġham
rah-e-ishq meñ kārvāñ aur bhī haiñ
kahā jab se hai hāl-e-dil un se apnā
vo mujh se hue bad-gumāñ aur bhī haiñ
vatan kī taraqqī pe ḳhush ho na 'āfat'
abhī be-kas-o-be-makāñ aur bhī haiñ
Top Urdushayar.com