is ġham kī dhuup meñ mujhe purvā.iyāñ na do
jalne do apnī zulf kī parchhā.iyāñ na do
larzāñ haiñ do-jahāñ qayāmat bapā na ho
apne shu.ūr-e-husn ko añgḌā.iyāñ na do
aa jaao kab se ḳhalq tarastī hai diid ko
parde meñ apne aap ko tanhā.iyāñ na do
ho jaa.e jis meñ ġharq mirī kashtī-e-umīd
vo bahr-e-iztirāb kī gahrā.iyāñ na do
hotī haiñ kārgar kahīñ jhūTī tasalliyāñ
ai chārasāzo dil ko shakebā.iyāñ na do
roz-e-azal se hai dil-e-vahshī junūñ-pasand
majnūñ ko zauq-e-anjuman-ārā.iyāñ na do
'āfat' uThā luuñ haath na us ziist se kahīñ
mere junūn-e-ishq ko rusvā.iyāñ na do