us but se mil kar is dil-e-nādāñ ko kyā huā
kyuuñ āh-o-zārī hai lab-e-ḳhandāñ ko kyā huā
dīvāne apnā chāk-e-garebāñ to sī chuke
ab tak na aa.ī fasl-e-bahārāñ ko kyā huā
donoñ-jahāñ haiñ muntazir-e-roz-e-hashr phir
us shoḳh chashm-e-fitna-e-daurāñ ko kyā huā
phūloñ meñ koī bū hai na kaliyoñ meñ tāzgī
ai andalīb rañg-e-gulistāñ ko kyā huā
dil meñ vahī ḳhalish hai vahī iztirāb hai
chāragaroñ ke da.ava-e-darmāñ ko kyā huā
dil pūchhtā hai aaj bhī vo rashk-e-nau-bahār
aayā na us ke va.ada-o-paimāñ ko kyā huā
karte ho aaj kufr kī bāteñ jagah jagah
'āfat' tumhāre diin ko īmāñ ko kyā huā