sahbā-e-nazar ke is chhalkāne ko kyā kahiye
us shoḳh kī āñkhoñ ke paimāne ko kyā kahiye
yuuñ barq ne phūñkā hai sab ḳhaak hue sapne
barbād nasheman ke afsāne ko kyā kahiye
de kar ġham-e-dil ab vo bīmār-e-mohabbat ko
samjhāte haiñ un ke is samjhāne ko kyā kahiye
ye soz-e-mohabbat hai jab sham.a huī raushan
jal jaatā hai chupke se parvāne ko kyā kahiye
baiThā hai abhī aa kar uTh kar abhī chal degā
dīvāna hai dīvāna dīvāne ko kyā kahiye
hāthoñ meñ liye patthar phirte haiñ mire pīchhe
apnoñ kī ye hālat hai begāne ko kyā kahiye
ronā mujhe aatā hai hālat pe tirī 'āfat'
ghar kī jo ye sūrat hai vīrāne ko kyā kahiye