gulzār meñ raftār-e-sabā aur hī kuchh hai
us shoḳh ke chalne kī adā aur hī kuchh hai
kartī hai ḳhunuk dil kī tapish bād-e-sahar bhī
lekin tire dāman kī havā aur hī kuchh hai
shāyad vo shabāb aane se āgāh huā hai
palkeñ haiñ jhukīñ rañg-e-hayā aur hī kuchh hai
kis shoḳh ne zulfoñ ko havā meñ hai uḌāyā
ye tauba-shikan kālī-ghaTā aur hī kuchh hai
kahne ko to har fard-o-bashar sab haiñ barābar
duniyā meñ magar shor bapā aur hī kuchh hai
bekas kā lahū sho.ala na ban jaa.e sambhalnā
paiġhām sunātī ye havā aur hī kuchh hai
vo laakh sitam Dhā.eñ kabhī uf na karūñgā
aafat mirā dastūr-e-vafā aur hī kuchh hai