Lalan Chaudhary

KHushi apni na ab to lauTti malum hoti hai

Lalan Chaudhary

Gajpur, Uttar pradesh, India

1923

ḳhushī apnī na ab to lauTtī ma.alūm hotī hai

unheñ mil kar unheñ ho ga.ī ma.alūm hotī hai

asīrān-e-qafas rone se kyā sayyād chhoḌegā

kisī ko kab kisī bekasī ma.alūm hotī hai

hamārī sāda-lauhī dekhiye rāh-e-mohabbat meñ

kisī dushmanī bhī dostī ma.alūm hotī hai

agar tum ne na pahchānā to kyā ab rañj-e-furqat meñ

mujhe apnī bhī sūrat ajnabī ma.alūm hotī hai

chale aao mirī tanhā.iyoñ par ḳhandāñ haiñ anjum

barastī aag ye chāñdnī ma.alūm hotī hai

kahīñ par baiTh kar ārām lo saañs nā-mumkin

mujhe ik qahr ye zindagī ma.alūm hotī hai

hazāroñ manzileñ tai ho ga.iiñ is ke tufail 'āfat'

mirī rahbar mirī dīvāngī ma.alūm hotī hai

Top Urdushayar.com