Shola Kararvi

ab kise yara hai zabt-e-nala-o-faryaad ka

Shola Kararvi

Karari, Uttar pradesh, India

1901
ab kise yaarā hai zabt-e-nāla-o-faryād kā
bhar gayā hai ġham se paimāna dil-e-nāshād kā
jal rahā thā āshiyāna bas na thā karte hī kyā
duur se dekhā kiye ham ye sitam sayyād kā
qalb-e-sozāñ miT ke bhī hañgāma-ārā hī rahā
ban gayā bijlī har ik zarra dil-e-nāshād kā
mausam-e-gul kī havā aa.ī na jis ko sāz-vār
dil hai vo pazhmurda ġhuncha ālam-e-ījād kā
yā to ab āThoñ-pahar pesh-e-nazar ho yā kabhī
dil dahal jaatā thā sun kar naam bhī sayyād kā
aayā qismat se usī din mujh ko paiġhām-e-ajal
roz-e-āḳhir thā jo merī qaid kī mī.ād kā
dekh ibrat kī nazar se ġham ke dāġhoñ kī bahār
safā-e-dil hai muraqqa.a gulshan-e-ījād kā
dekhiye hotā hai kyuuñ kar aaj tai ye marhala
maiñ idhar huuñ saḳht-jāñ ḳhanjar idhar faulād kā
sahn-e-gulshan se qafas meñ aa gayā vo musht-e-par
ho gayā gulzār jis ke dam se ghar sayyād kā
sañg-e-dil rote haiñ 'sho.ala' sun ke fariyādeñ mirī
mom ho jaatā hai aahoñ se jigar faulād kā
Top Urdushayar.com