Shola Kararvi

yaad teri falak-e-pir liye baiThe hain

Shola Kararvi

Karari, Uttar pradesh, India

1901
yaad terī falak-e-pīr liye baiThe haiñ
shikva-e-gardish-e-taqdīr liye baiThe haiñ
be-asar nāla-e-shab-gīr liye baiThe haiñ
ek TuuTī huī zanjīr liye baiThe haiñ
mus.haf-e-husn kī tafsīr liye baiThe haiñ
dil meñ ham aap kī tasvīr liye baiThe haiñ
jaane kab munhadim arkān-e-anāsir ho jaa.eñ
ret par jism kī ta.amīr liye baiThe haiñ
us ne duzdīda nigāhoñ se kabhī dekhā thā
dil meñ ab tak ḳhalish-e-tīr liye baiThe haiñ
naqsh-bar-āb hai dar-asl habāb-e-hastī
kab ye mumkin hai jo ta.amīr liye baiThe haiñ
ek hī aah meñ barham hai nizām-e-ālam
apne nāloñ meñ vo tāsīr liye baiThe haiñ
zindagī maut hai aur maut hayāt-e-jāved
ḳhvāb-e-hastī kī ye ta.abīr liye baiThe haiñ
daur-e-hāzir meñ ġhanīmat hai bahut ai 'sho.ala'
aap jo izzat-o-tauqīr liye baiThe haiñ
Top Urdushayar.com