Shola Kararvi

dard-e-ulfat ke bayan ki na zarurat hogi

Shola Kararvi

Karari, Uttar pradesh, India

1901
dard-e-ulfat ke bayāñ kī na zarūrat hogī
mere chehre se ayaañ dil kī haqīqat hogī
kaun fariyād karegā kise jur.at hogī
hashr meñ pesh-e-nazar jab tirī sūrat hogī
dāstān-e-shab-e-hijrāñ kī karūñ kyā tashrīh
muḳhtasar bhī jo kahūñgā to tavālat hogī
pesh-e-dāvar to karūñ ḳhuun kā da.avā lekin
mere qātil ko sar-e-hashr nadāmat hogī
dard-e-hijrāñ ke bayāñ kī nahīñ mujh ko hājat
un pe zāhir dil-e-betāb kī hālat hogī
is liye un ke qadam baḌh nahīñ sakte aage
rahguzar meñ kisī nāshād kī turbat hogī
dāġh-e-ulfat haiñ vahī phuul ki rafta rafta
jin se kāshāna-e-dil kī mire zīnat hogī
zindagī qalb kī harakat hī se vābasta hai
dil jo Thahregā to ik aur qayāmat hogī
Top Urdushayar.com