chhoḌ kar chal diyā ġhurbat meñ vahī dil mujh ko
ek hamdard milā thā jo ba-mushkil mujh ko
ab sivā ġham nahīñ kuchh ziist kā hāsil mujh ko
ḳhauf-e-girdāb na darkār hai sāhil mujh ko
dil bhī qassam-e-azal ne vo diyā qismat se
jis ne duniyā meñ na rakkhā kisī qābil mujh ko
mujh ko kyā ġham jo haiñ tārīk adam ke raste
dāġh-e-dil hoñge charāġh-e-rah-e-manzil mujh ko
manzileñ ishq kī mushkil thiiñ ḳhatarnāk bhī thiiñ
mil gayā dil sā magar rahbar-e-kāmil mujh ko
hasrat-o-yās-o-alam rah ga.e bairūn-e-lahad
qāfile vāloñ ne chhoḌā sar-e-manzil mujh ko
fikr kuchh sher-o-suḳhan kī bhī karūñ maiñ 'sho.ala'
deñ jo fursat kabhī afkār-o-mashāġhil mujh ko