Shola Kararvi

sair-e-gulshan se jo fursat ho idhar bhi dekho

Shola Kararvi

Karari, Uttar pradesh, India

1901
sair-e-gulshan se jo fursat ho idhar bhī dekho
rañg-e-gul dekh chuke dāġh-e-jigar bhī dekho
merī mayyat pe use ḳhāk-basar bhī dekho
zindagī-bhar kī riyāzat kā samar bhī dekho
nuqta-e-husn ba-andāz-e-digar bhī dekho
ishq kā zāviya-e-husn-e-nazar bhī dekho
ek hī husn ke jalve nazar ā.eñge tamām
ā.ina-ḳhāna-e-duniyā meñ jidhar bhī dekho
hasrat-o-yās-o-ġham-o-ranj haiñ mehmāñ dil meñ
kitnā ābād hai allāh kā ghar bhī dekho
bikhrī sindūr bharī zulfoñ meñ rū-e-raushan
surḳhi-e-shām meñ unvān-e-sahar bhī dekho
marte marte na haTe rāh-e-mohabbat se qadam
mujh meñ sau aib sahī ek hunar bhī dekho
farq karte nahīñ 'sho.ala' ḳhazaf-o-gauhar meñ
ye sitam-zarfī-e-arbāb-e-nazar bhī dekho
Top Urdushayar.com