hai guzar arsh-e-barīñ tak nāla-e-shab-gīr kā
dekhiye to silsila TuuTī huī zanjīr kā
bār-e-sar se mujh ko ai qātil subuk-doshī huī
hai mirī gardan pe ye ehsāñ tirī shamshīr kā
dekh kar un ko mujhe sakta hai vo ḳhāmosh haiñ
sāmnā hai aaj ik tasvīr se tasvīr kā
saath meñ us ke nikal aayā hai kyā merā jigar
dekhte haiñ kis liye paikāñ vo apne tiir kā
kī butoñ ke dar pe maiñ ne jubba-sā.ī umr-bhar
par miTā ab tak na vo likkhā huā taqdīr kā
naqsh se bahzād bhī hairāñ hai misl-e-ā.ina
ai parī-paikar vo aalam hai tirī tasvīr kā
ġhair ke pahlū meñ ai 'sho.ala' nahīñ un ko qarār
hai asar itnā hamārī āh-e-pur-tāsīr kā