yahāñ tak kaam aayā jazba-e-zabt-e-fuġhāñ apnā
khaḌe dekhā kiye jalte hue ham āshiyāñ apnā
haqīqat meñ vahī hai hāsil-e-umr-e-ravāñ apnā
jise sab maut kahte haiñ vo hai ḳhvāb-e-girāñ apnā
bahut kuchh ho chukā tai jāda-e-umr-e-ravāñ apnā
pahuñch jā.egā manzil par kisī din kārvāñ apnā
jahāñ meñ maut ne ulTī naqāb-e-zindagī jis dam
yaqīñ se ḳhud badalnā hī paḌā āḳhir gumāñ apnā
yahīñ kisht-e-tamannā hai yahīñ hai mazra-e-uqbā
isī do din kī duniyā meñ hai saarā imtihāñ apnā
nahīñ jab koī dhabba dāman-e-aslāf pe apne
to phir achchhe se achchhā kyuuñ na hogā dūd-māñ apnā
nishān-e-qabr bhī DhūñDhe se ab miltā nahīñ 'sho.ala'
miTā hai safha-e-hastī se yuuñ nām-o-nishāñ apnā