ham kise karte bhalā rahbar-e-manzil apnā
rāh-e-ulfat meñ na thā koī ba-juz dil apnā
chain detā nahīñ dam-bhar dil-e-bismil apnā
muḳhtasar ye hai ki qaabū meñ nahīñ dil apnā
kyuuñ na āsān ho tārīki-e-shab meñ bhī safar
dāġh-e-dil jab hai charāġh-e-rah-e-manzil apnā
laakh chāhā ki na fariyād kareñ ham lekin
dard-e-furqat na rahā zabt ke qābil apnā
qabr meñ bhī hameñ ārām kī ummīd ho kyā
āshnā pahlū-e-rāhat se nahīñ dil apnā
saath hastī meñ diyā tā-dam-e-āḳhir dil ne
itnā dam-sāz koī hogā ba-mushkil apnā
mujh ko dushvār na thā ishq se pahle kuchh bhī
ab to har kaam nazar aatā hai mushkil apnā
ab to fariyād kī tāqat na rahī ai 'sho.ala'
varna har naala falak se thā muqābil apnā