pahle to dard-e-dil kā ḳhulāsa kare koī
tab un se sharh-e-hāl-e-tamannā kare koī
dard-e-jigar kā pahle mudāvā kare koī
jab tū masīh hone kā da.avā kare koī
mumkin nahīñ ki safha-e-hastī pe mil sake
mere nishān-e-qabr ko DhūñDhā kare koī
badle na karvaTeñ bhī koī farsh-e-ḳhvāb par
ġham se taḌap taḌap ke saverā kare koī
sunñā hai dard-e-dil kī mire dāstāñ agar
patthar kā pahle apnā kaleja kare koī
shām-e-shab-e-firāq hai tākīd-e-zabt-e-āh
dil meñ uThe jo dard to phir kyā kare koī
ḳhāmosh is tarah se hue sakinān-e-qabr
dete nahīñ javāb pukārā kare koī
'sho.ala' muhāl hai ki baḌhe dil kī raushnī
jab tak ḳhayāl-e-dost na paidā kare koī