nahīñ nikle zabāñ se un ke dhoke meñ jo haañ ho kar
gumāñ badle yaqīñ ho kar yaqīñ badle gumāñ ho kar
khaTaktā huuñ zamāne kī nazar meñ nīm-jāñ ho kar
mohabbat meñ huā kāñTā za.īf-o-nā-tavāñ ho kar
diyā dars-e-amal duniyā ko sargarm-e-fuġhāñ ho kar
jagāyā mere nāloñ ne zamāne ko azaañ ho kar
chhupā.e se kahīñ chhuptā hai jalva husn-e-fitrat kā
ayaañ hai vo nihāñ ho kar nihāñ hai vo ayaañ ho kar
ye hai ejāz-e-ulfat aaj tak āshiq jo zinda hai
vagar na miT chukā hotā vo benām-o-nishāñ ho kar
bhalā is tarah kā jiinā bhī hai jiinā koī 'sho.ala'
nigāhoñ meñ subuk ho kar zamāne par garāñ ho kar