rabāb-e-husn hai yā koī sāz-e-ulfat hai
samajh meñ aa na sakī dil kī jo haqīqat hai
kudūratoñ se ye ahl-e-jahāñ kī hālat hai
na ab diloñ meñ safā.ī na rasm-e-ulfat hai
marīz-e-hijr kī ab kuchh ajiib hālat hai
na hosh hī meñ hai apne na ḳhvāb-e-ġhaflat hai
bane jo aur bigaḌ jaa.e hai mirī taqdīr
bigaḌ bigaḌ ke bane jo adū kī qismat hai
qadam qadam pe haiñ sahrā ke ḳhaar dāman-gīr
vafā kī raah meñ har-gām par musībat hai
zabāñ khulegī na mahshar meñ sāmne un ke
kare jo hashr meñ fariyād kis kī jur.at hai
guloñ kā khul ke bikharnā hai aa.ina ġham kā
chaman kā yuuñ to har ik patta naqsh-e-ibrat hai
bikhar rahā hai kitāb-e-jahāñ kā shīrāza
qayāmat aane se pahle ye kyā qayāmat hai
simaT ke aa ga.ī pahlū meñ kā.enāt-e-jahāñ
samajh meñ aa nahīñ saktī jo dil kī vus.at hai
ye zauq-e-sher-o-suḳhan fitratan hai ai 'sho.ala'
numūd-o-nām kī ḳhvāhish na fikr-e-shohrat hai