Shola Kararvi

mangi mil-jul kar jo rindon ne dua barsat ki

Shola Kararvi

Karari, Uttar pradesh, India

1901
māñgī mil-jul kar jo rindoñ ne duā barsāt kī
jhuum kar aa hī ga.ī kaalī ghaTā barsāt kī
kyuuñ na huuñ kaalī ghaTā.eñ barq-zā barsāt kī
aag paanī meñ lagātī hai havā barsāt kī
apnī ummīdoñ kī khetī hai havā barsāt kī
sāl-bhar tak māñgte haiñ ham duā barsāt kī
rūh-parvar hai bahār-e-jāñ-fazā barsāt kī
kitnī farhat-baḳhsh hai ThanDī havā barsāt kī
sabza-e-ḳhvābīda jaage jī uThī murda zamīñ
kar ga.ī kār-e-masīhā.ī adā barsāt kī
ibtidā jān-e-ḳharīf aur intihā rūh-e-rabī
ibtidā bhī hai vahī jo intihā barsāt kī
allāh allāh gesu-e-mushkīñ-o-shab-gūñ kī bahār
āsmāñ par jis tarah kaalī ghaTā barsāt kī
iltihāb-o-siz-e-dil haiñ bā.is-e-sailāb-e-ashk
hai azal ke din se garmī rahnumā barsāt kī
apne miTne ke tasavvur meñ hai rotā āsmāñ
aur haqīqat kuchh nahīñ us ke sivā barsāt kī
mere ashkoñ kī jhaḌī se paanī paanī ho ga.ī
ban na aa.ī aisī kuchh bigḌī havā barsāt kī
apne dāman meñ liye zīnat urūs-e-nau-bahār
oḌh kar aa.ī hai gulshan meñ ridā barsāt kī
sard-o-garm-e-dahr ne khīñchā vo ḳhatt-e-etidāl
Thiik utrī jism-e-fitrat par qabā barsāt kī
ye ġhazal likkhī to hai 'sho.ala' magar az rū-e-fan
de ga.ī charkā shikast-e-nā-ravā barsāt kī
Top Urdushayar.com