Shola Kararvi

dard-e-gham-e-firaq se aankhen hain ashk-bar kya

Shola Kararvi

Karari, Uttar pradesh, India

1901
dard-e-ġham-e-firāq se āñkheñ haiñ ashk-bār kyā
rone se hogī muḳhtasar zahmat-e-intizār kyā
zaḳhmoñ se chuur jo na ho sīna-e-dāġh-dār kyā
jis meñ na ho hujūm-e-gul kahiye use bahār kyā
jis ne jalā ke dil mirā hijr kī shab miTā diyā
sham.eñ jalāne aayā hai ab vo sar-e-mazār kyā
uTh ga.ī jis taraf nazar hashr sā ik bapā huā
un kī nigāh-e-nāz hai fitna-e-rozgār kyā
miT ke bhī us kī justujū hai jo jahāñ meñ chār-sū
legā kisī jagah qarār uḌtā huā ġhubār kyā
ho chukī ḳhatm shām-e-ġham āñkhoñ meñ aa chukā hai dam
ab bhī marīz-e-hijr ko un kā hai intizār kyā
jurm-e-vafā se andalīb-e-gul kī nazar meñ thī zalīl
kāñToñ ke bhī nigāh meñ honā paḌegā ḳhvār kyā
koshish-e-zabt laakh kī phir bhī na ashk tham sake
jabr na dil pe ho sakā aisā bhī iḳhtiyār kyā
un kī nazar ke saath hī saarā zamāna phir gayā
gardish-e-chashm-e-nāz hai gardish-e-rozgār kyā
bād-e-ḳhizāñ kī mauj thī ġhuncha-e-dil ke haq meñ sam
mausam-e-gul kī bhī havā hogī na sāzgār kyā
'sho.ala' tafta-dil mujhe ātish-e-ishq se hai kaam
merī nazar meñ tuur kī barq-e-sharāra-bār kyā
Top Urdushayar.com