ḳhāmushī iltifāt hai shāyad
ek mohmal sī baat hai shāyad
dard-e-dil hī barāt hai shāyad
husn kī ye zakāt hai shāyad
zindagī do adam kī barzaḳh hai
is liye be-sabāt hai shāyad
zindagī maut se ibārat hai
maut sharh-e-hayāt hai shāyad
kitne vīrāne ho ga.e ābād
aap kā iltifāt hai shāyad
kuchh nahīñ sochtā javānī meñ
ye bhī tārīk raat hai shāyad
kahte kahte jo ho ga.e ḳhāmosh
raaz kī koī baat hai shāyad
is yaqīñ par kalīm haiñ behosh
jalva-e-husn-e-zāt hai shāyad
dil kī taskīn ruuh kī rāhat
aah vaj.h-e-hayāt hai shāyad
aañkh ke til ke ek zarre meñ
simTī kul kā.enāt hai shāyad
tishna-kāmī-e-karbalā hai ishq
husn āb-e-furāt hai shāyad
'sho.ala' is dil meñ Tiis uThtī hai
aap kā iltifāt hai shāyad