shaġhl bhī ashk-e-ḳhūñ-fishnānī kā
khel hai aag aur paanī kā
jal gayā tuur ġhash hue muusā
khul gayā haal lan-tarānī kā
jaan de kar rah-e-mohabbat meñ
mil gayā lutf-e-zindagānī kā
āh-e-dil ne diyā sahārā kuchh
jab baḌhā zor nā-tavānī kā
jab se tasvīr terī dekhī hai
rañg-e-ruḳh uḌ gayā hai maanī kā
kuchh samajh meñ na aaj tak aayā
falsafa maut-o-zindagānī kā