karnā hai zindagī jo qafas meñ basar mujhe
phir kyuuñ na hoñ vabāl mire bāl-o-par mujhe
allāh re shauq-e-dīd jidhar dekhtā huuñ maiñ
juz husn dost kuchh nahīñ aatā nazar mujhe
hotā hai koī dam meñ charāġh-e-hayāt gul
shām-e-firāq kyā ho ummīd-e-sahar mujhe
rāh-e-talab meñ dūrī-e-manzil kā ġham nahīñ
ma.alūm ho chukā hai ma.āl-e-safar mujhe
taqdīr ke likhe ko miTā duuñ jabīñ se maiñ
qismat se mil to jaa.e tirā sañg-e-dar mujhe
baiThā huā qafas meñ yahī sochtā huuñ maiñ
laa.ī chaman se kaun kashish khīñch kar mujhe
afsāna zindagī kā na pūchho ki ishq meñ
taknī paḌī hai rāh-e-ajal umr-bhar mujhe
barbādiyoñ kā apnī koī ġham nahīñ magar
pā.egī phir kahāñ ye tumhārī nazar mujhe
'sho.ala' ḳhayāl-e-dost se ġhāfil nahīñ huuñ maiñ
manzūr hai jo chāra-e-dard-e-jigar mujhe