ham pe jaur-o-sitam ke kyā ma.anī
tark-e-rahm-o-karam ke kyā ma.anī
aish-o-ishrat se ġham ke kyā ma.anī
farbahī hai diram ke kyā ma.anī
raat furqat kī kis ko kahte haiñ
roz-e-hijr-e-sanam ke kyā ma.anī
gar nahīñ us kā sāġhar-e-mai-nāb
kahiye phir jām-e-jam ke kyā ma.anī
pūjnā but kā hai ye kyā mazmūn
aur tavāf-e-haram ke kyā ma.anī
kūcha-e-gul-ruḳhāñ ko kahte haiñ
aur bāġh-e-iram ke kyā ma.anī
yūñhī va.ada karo yaqīñ ho jaa.e
kyuuñ qasam luuñ qasam ke kyā ma.anī
mājrā chashm-e-nam kā tū samjhe
lekin abr-o-karam ke kyā ma.anī
bose va.ade se kam nahīñ manzūr
dam na do ham ko dam ke kyā ma.anī
ek do tiin chaar pāñch chhe saat
yūñhī gin leñge kam ke kyā ma.anī
ai 'saḳhī' yaar ne dikhā.ī kamar
shab jo pūchhā adam ke kyā ma.anī