turfa chaman khilā hai dil-e-dāġh-dār kā
ya.anī ḳhizāñ se kaam liyā hai bahār kā
kaT jaa.e pattā kab varaq-e-rozgār kā
kyā e'tibār hasti-e-nā-pā.edār kā
madfan hai ik shahīd-e-ġharīb-ud-dayār kā
katba batā rahā hai ye lauh-e-mazār kā
pahuñchā sabā ke saath vo kūche meñ yaar ke
dekho to hausla mire musht-e-ġhubār kā
jannat kā sabz-bāġh na zāhid dikhā mujhe
mere bhī ghar meñ peḌ lagā hai anaar kā
bāra-darī meñ rahtā huuñ 'sho.ala' sharaf ye hai
asnā-ashar huuñ shukr hai parvardigār kā