Shola Kararvi

hawa-e-fasl-e-gul ke sath barq-e-shoala-bar aai

Shola Kararvi

Karari, Uttar pradesh, India

1901
havā-e-fasl-e-gul ke saath barq-e-'sho.ala'-bār aa.ī
nasheman meñ lagī hai aag gulshan meñ bahār aa.ī
guloñ par tāzgī aa.ī na bād-e-itr-e-bār aa.ī
jahān-e-rañg-o-bū meñ naam ko fasl-e-bahār aa.ī
khilā ġhuncha na dil kā garche gulshan meñ bahār aa.ī
havā-e-mausam-e-gul bhī na us ko sāzgār aa.ī
guloñ par aisī ġhaflat thī na chauñke sahn-e-gulshan meñ
jagāne ke liye fariyād-e-bulbul go hazār aa.ī
sabab us ke sivā kuchh bhī nahīñ aañsū bahāne kā
ki shabnam be-sabātī-e-jahāñ pur-ashk-bār aa.ī
satā kar shaad hote haiñ ye fitrat hai hasīnoñ kī
jo rone par mire un ko hañsī be-iḳhtiyār aa.ī
fazā-e-sahn-e-gulshan bhī na thī ḳhālī kudūrat se
nasīm-e-sub.h bhī ālūda-e-gard-o-ġhubār aa.ī
nafas kī āmad-o-shud kā bharosa kuchh nahīñ 'sho.ala'
payām-e-maut le kar ḳhud hayāt-e-musta.ār aa.ī
Top Urdushayar.com