ranj-o-malāl-o-ġham se kisī ko mafar nahīñ
āzād qaid-e-fikr se koī bashar nahīñ
dil meñ lagī hai aag jigar par asar nahīñ
ye dard aur hai jo idhar hai udhar nahīñ
zarre meñ kaise vus.at-e-kaunain aa ga.ī
ḳhud apnī mardumak pe hamārī nazar nahīñ
khanke na un kī bazm kā sāġhar koī magar
apnī shikast shīsha-e-dil kī ḳhabar nahīñ
dam-bhar kā fāsla hai hayāt-o-mamāt meñ
manzil koī ab us se sivā muḳhtasar nahīñ
hichkī shab-e-firāq kī kuchh kah rahī hai aur
ya.anī hamārī yaad se vo be-ḳhabar nahīñ
piirī meñ ḳhvāb dekh rahā huuñ shabāb ke
jaise abhī hai raat numūd-e-sahar nahīñ
qaid-e-sujūd-e-dair-o-haram phir hai kyā zarūr
vo lā-makāñ hai us kā koī sañg-e-dar nahīñ
maiñ dekhtā huuñ san.at-e-sannā-e-rozgār
dekhūñ tumheñ ye apnā mazāq-e-nazar nahīñ
marne ke ba.ad hotī hai mahsūs ab kamī
bazm-e-adab meñ 'sho.ala' tahammul digar nahīñ