kuchh to ai yaar ilāj-e-ġham-e-tanhā.ī ho
baat itnī bhī na baḌh jaa.e ki rusvā.ī ho
Dūbne vaale to āñkhoñ se bhī kab nikle haiñ
Dūbne ke liye lāzim nahīñ gahrā.ī ho
jis ne bhī mujh ko tamāshā sā banā rakkhā hai
ab zarūrī hai vahī shaḳhs tamāshā.ī ho
maiñ mohabbat meñ luTā baiThā huuñ dil kī duniyā
kaam ye aisā bhī kab hai ki pazīrā.ī ho
ajnabī tum se koī baat jo kar lī maiñ ne
log kahne lage harjā.ī ho harjā.ī ho
koī anjān na ho shahr-e-mohabbat kā makīñ
kaash har dil kī har ik dil se shanāsā.ī ho
maiñ mohabbat ko chhupātā rahā lekin be-sūd
baat chhuptī hai kahāñ jis meñ ki sachchā.ī ho
aaj to bazm meñ har aañkh thī pur-nam jaise
dāstāñ merī kisī ne yahāñ dohrā.ī ho
maiñ tujhe jiit bhī tohfe meñ nahīñ de saktā
chāhtā ye bhī nahīñ huuñ tirī paspā.ī ho
ab ke sāvan to barastā huā yuuñ lagtā hai
āsmāñ par bhī tire ġham kī ghaTā chhā.ī ho
yuuñ guzar jaatā hai 'imrran' tire kūche se
terā vāqif na ho jaise koī saudā.ī ho