taḌap ke lauT ke aañsū bahā ke dekh liyā
lagī na dil kī tujhe dil lagā ke dekh liyā
kisī ne daad na dī kuchh fasāna-e-dil kī
unheñ bhī dard-e-mohabbat sunā ke dekh liyā
kise umiid thī aaoge tum dam-e-āḳhir
baḌā kamāl kiyā tum ne aa ke dekh liyā
kahā thā maiñ ne ki dushvār dil kā lenā hai
vo bole duur se mujh ko dikhā ke dekh liyā
ġhazab kiyā ki chakhā kar mai-e-suḳhan kā mazā
'sharaf' se shaḳhs ko be-ḳhud banā ke dekh liyā