ik ḳhalq jo har samt se aa.ī tire dar par
aayā nazar-andāz ḳhudā.ī tire dar par
thī jis kī tamannā dil-e-mushtāq ko har dam
vo chiiz agar paa.ī to paa.ī tire dar par
ushshāq ke aage na laḌā ġhairoñ se āñkheñ
Dar hai ki na ho jaa.e laḌā.ī tire dar par
dekhī jo yahāñ aa ke jhaḌī abr-e-karam kī
sab dil kī lagī ham ne bujhā.ī tire dar par
is nafas hī kam-baḳht ne rokā thā 'sharaf' ko
dushvār na thī varna rasā.ī tire dar par