āñkhoñ ko sūjhtā hī nahīñ kuchh sivā-e-dost
kānoñ meñ aa rahī hai barābar sadā-e-dost
kaisī vafā sitam se bhī us ne uThā.e haath
rah rah ke yaad ab aatī hai tarz-e-jafā-e-dost
siine meñ dāġh-hā-e-mohabbat kī hai bahār
phūlā hai ḳhuub ye chaman dil-kushā-e-dost
dil meñ mire jigar meñ mire aañkh meñ mirī
har jā hai dost aur nahīñ miltī hai jā-e-dost
muddat se paañv toḌe hue baiThe the 'sharaf'
āḳhir uḌā ke le hī chalī ab havā-e-dost