har jafā un kī huī ham ko vafā se baḌh kar
ab nikāleñ vo koī zulm jafā se baḌh kar
sar-e-taslīm hai ḳham terī razā ke aage
de vo rutba jo hai taslīm-o-razā se baḌh kar
kam-sinī jin kī hameñ yaad hai aur kal kī hī baat
aaj unheñ dekhiye kyā ho ga.e kyā se baḌh kar
allāh allāh ḳhusūsiyyat-e-zāt-e-hasnain
saarī ummat ke haiñ potoñ se navāse baḌh kar
tajraba kar liyā aur dekh liyā sab ko 'sharaf'
koī hamdard nahīñ yād-e-ḳhudā se baḌh kar