jahāñ tak ranj-e-duniyā hai diye jaao
hamāre dal ke tum TukḌe kiye jaao
faqat ik dal ke pīchhe ham bigāḌeñ
ḳhafā kyuuñ ho rahe ho lo liye jaao
lagā do haath ik chalte hī chalte
zarā sā kaam hai merā kiye jaao
na uTTho ġhair kī ḳhātir yahāñ se
vo ḳhud aa jā.egā tum kis liye jaao
'sharaf' bhar bhar ke dete haiñ vo ḳhud jaam
piye jaao piye jaao piye jaao