is tag-o-dau ne āḳhirash mujh ko niDhāl kar diyā
jiine ke ehtimām ne jiinā muhāl kar diyā
ab ham asīr-e-zulf haiñ kis ke kisī ko kyā ġharaz
us ne to apnī qaid se ham ko bahāl kar diyā
bazm-e-tarab sajā.eñ kyā ab ham hañseñ hañsā.eñ kyā
tum ne to ham ko jān-e-jāñ vaqf-e-malāl kar diyā
sher o suḳhan kā ik hunar rakhte the ham so shukr hai
kuchh dil kī baat kah sake kuchh arz-e-hāl kar diyā
kuchh ishq vishq ho gayā kuchh sher ver kah liye
karne kā koī kaam to 'rāshid' jamāl kar diyā