mausam ke mutābiq koī sāmāñ bhī nahīñ hai
aur rut ke badal jaane kā imkāñ bhī nahīñ hai
DhūñDo to ḳhushī kā koī pal haath na aa.e
dekho to yahāñ koī pareshāñ bhī nahīñ hai
rishte meñ vo pahlī sī taḌap ab nahīñ miltī
haañ yuuñ to ba-zāhir vo gurezāñ bhī nahīñ hai
bas chhat ke shagāfoñ ko paḌe ghūrte rahiye
yaarā bhī nahīñ mahfil-e-yārāñ bhī nahīñ hai
phir kyuuñ na use hamdam o ham-zād banā leñ
jab yuuñ hai ki is dard kā darmāñ bhī nahīñ hai
vo vaqt bhī thā ham ko zamāne kī ḳhabar thī
ab yuuñ hai ki ehsās-e-rag-e-jāñ bhī nahīñ hai
ab qatl kī ḳhabroñ kā vo aalam hai ki 'arshad'
sun kar koī hairān o pareshāñ bhī nahīñ hai