Wali Uzlat

hai uski zulf se nit panja-e-adu gustaKH

Wali Uzlat

Surat, Gujarat, India

1692-1775
hai us kī zulf se nit panja-e-adū gustāḳh
mirā ġhubār vo dāman se hai kabhū gustāḳh
dhuāñ nikālūñ maiñ huqqe kā ḳhūn-e-jām piyūñ
tire haiñ lab se donoñ mere rū-ba-rū gustāḳh
palā hai paanī se par sar chaḌhā hai paanī ke
nadī ke saat hai kam-zarfī se kadū gustāḳh
satāve hai dil-e-ḳhūnīñ ko harf-e-nāseh yuuñ
ki jaise zaḳhm se hove hai gul kī bū gustāḳh
hañsī se ġhuncha kā dil sub.h toḌe hai 'uzlat'
tū Dar jo tujh se koī hove ḳhanda-rū gustāḳh
Top Urdushayar.com