Wali Uzlat

KHuda hi pahunche fariyaadon ko humse be-nasibon ke

Wali Uzlat

Surat, Gujarat, India

1692-1775
ḳhudā hī pahuñche fariyādoñ ko ham se be-nasīboñ ke
hamāre dil kabāb aur tū piye pyāle raqīboñ ke
ḳhizāñ meñ barg-e-gul aur ḳhār-o-ḳhas nahiñ sehn-e-gulshan meñ
paḌe haiñ laḳht-e-dil aur TuuTe naale andalīboñ ke
bahār aa.ī divāno sunte ho bulbul kī fariyādeñ
ye āvāze haiñ fauj-e-mausam-e-gul ke naqīboñ ke
ilāhī de nigāh-e-lutf ḳhush-chashmoñ ko ik pal bhī
ki ham bīmār mar ga.e naaz uThāte in tabīboñ ke
nagīñ ke tarz phir jaatā hai nām-e-'uzlat' us lab par
asar meñ be-suḳhan mere haiñ bargashta nasīboñ ke
Top Urdushayar.com