bahār aadhī guzar ga.ī haa.e ham qaidī haiñ zindāñ ke
ga.e kuchh aur kuchh jaate haiñ din chāk-e-garebāñ ke
hazāroñ ḳhūb-rū ga.e ḳhaak meñ gardish se daurāñ ke
jhalakte rañg meñ dekho muqayyash reze afshāñ ke
gayā to dard-e-sar par hasrat-e-zaḳhm-e-doyam rah ga.ī
vagarna ham tirī shamshīr ke maare haiñ ehsāñ ke
mirā lohū bhī ba.ad-az-marg qātil ke tasadduq hai
sañjāf-e-surḳh mat samjhe koī gird is ke dāmāñ ke
huā hai daaġh be-qadrī se un kī musht-ḳhūñ merā
paḌe ko.ele hī kab mehñdī meñ dast-o-pā-e-ḳhūbāñ ke
junūñ se ḳhaak ho ga.e par bhī āshiq haat malte haiñ
bagūle saare meñ aTkal kiyā 'uzlat' bayābāñ ke