māh-e-kāmil ho muqābil yaar ke rū se che-ḳhush
ḳham ho dam maare hilāl us teġh-e-abrū se che-ḳhush
ik jhalak bhī yaar kī shoḳhī kī tujh meñ nahīñ ai barq
tispe ham-sar ho to us kī tundi-e-ḳhū se che-ḳhush
us kī jaulāñ kī havā se ga.ī hai barbād aur us par
mudda.ī hai nik.hat-e-gul yaar kī bū se che-ḳhush
aañkh meñ hirnoñ kī ḳhāk-afgan hai us kī gard-e-rāh
tispe gardan-kash haiñ pī ke chashm-e-jādū se che-ḳhush
garche sumbul hai ai 'uzlat' tīra-baḳht aur dāġh-e-rashk
pech-o-ḳham khā kar hai sarkash pī ke gesū se che-ḳhush