bahār aa.ī ba-tañg aayā dil-e-vahshat-panāh apnā
karūñ kyā hai yahī chāk-e-garebāñ dastgāh apnā
Tapaktī jo tarah sumbul se hove pai-ba-pai shabnam
hamāre haal par rone lagā ab dūd-e-āh apnā
mirā dil lete hī kar chashm-poshī mujh se muñh pherā
nazar aatā nahīñ kuchh mujh ko dilbar se nibāh apnā
sitam se dī tasallī us kamāñ-abrū ke qurbāñ huuñ
rag-e-jāñ kar diyā dil ko mire tīr-e-nigāh apnā
tū harjā.ī na ho ghaT jā.egā juuñ zar ayāroñ meñ
ye 'uzlat' banda apnā fidvī apnā ḳhair-ḳhvāh apnā