Wali Uzlat

junun-awar shab-e-mahtab thi pi ki tamanna mein

Wali Uzlat

Surat, Gujarat, India

1692-1775
junūñ-āvar shab-e-mahtāb thī pī kī tamannā meñ
ki bah kar rail meñ ashkoñ ke ham the sair-e-dariyā meñ
hamārī ḳhaak par āhista Thokar maar ai zālim
mabādā shīsha-e-dil TuuT chubh jaave tire pā meñ
tumhāre ābla-pāoñ ko jañgal yaad kartā hai
lahū har ḳhaar se Tapke hai ab lag dast-e-saudā meñ
ba-kaifiyyat thā az-bas raat mazkūr us kī āñkhoñ kā
bharī thī bū-e-nargis yak-qalam har jām-e-sahbā meñ
ġhubār-e-āh-e-tūfāñ se chhupī hai ḳhaak meñ bastī
ye 'uzlat' shahr meñ thā jā rahā nāgāh sahrā meñ
Top Urdushayar.com