jaatī rahīñ kidhar vo mohabbat kī bāniyāñ
ik āshnā rahīñ tirī bāteñ bagāniyāñ
sun kar jalā huuñ tuur sā muusā kamar miyāñ
firaunī-e-raqīb o tirī lan-tarāniyāñ
kahtā huuñ jab maiñ sote nasīboñ kī sarguzisht
hotī haiñ ḳhvāb-e-nāz kī tum ko kahāniyāñ
jām-e-hubāb par dam-e-īsā bhī sañg hai
nāzuk diloñ pe halke suḳhan haiñ girāniyāñ
ai jag ke Thag ye naam nikāle se nañg nahīñ
'uzlat' se dil liye pe bhī āñkheñ chorāniyāñ