aaj dil be-qarār hai merā
kis ke pahlū meñ yaar hai merā
kyuuñ na ushshāq par ho.uuñ mansūr
juuñ sipand āh-dār hai merā
be-qarār us kā hūñgā hashr meñ bhī
yahī us se qarār hai merā
rañg-e-zard aur sarishk-e-surḳh to dekh
kyā ḳhizāñ meñ bahār hai merā
mere qātil ke kaf hinā.ī nahīñ
musht-ḳhūñ yādgār hai merā
khol kar qabr dekh mashq-e-junūñ
ki kafan taar taar hai merā
aate jaate magar tū Thukrāve
tere dar par mazār hai merā
aañkh mūñde hai merī ḳhaak se bhī
yaañ tak us ko ġhubār hai merā
jiite raho kyuuñ hue raqīb ke haar
yahī siine meñ ḳhaar hai merā
tere kūche ke sag kī pā-bosī
bā.is-e-iftiḳhār hai merā
banda-e-yār 'uzlat'-e-marhūm
naqsh-e-lauh-e-mazār hai merā