Wali Uzlat

phir aai fasl-e-gul ai yar dekhiye kya ho

Wali Uzlat

Surat, Gujarat, India

1692-1775
phir aa.ī fasl-e-gul ai yaar dekhiye kyā ho
junūñ kā dil meñ chubhā ḳhaar dekhiye kyā ho
sab āshnā hue us ke bichhaḌte begāne
huī hai be-kasī ab yaar dekhiye kyā ho
chaman meñ bāñdhne ko āshiyāna-e-bulbul
guloñ ne jam.a kiye ḳhaar dekhiye kyā ho
huā hai ye dil-e-dīvāna qābil-e-zanjīr
khule haiñ gesū-e-dildār dekhiye kyā ho
vo sarv-qad kī mohabbat kā tauq juuñ qumrī
huā hai mere gale haar dekhiye kyā ho
vo 'uzlat' ab mirā būjhegā ġham ki ārasī dekh
huā hai apnā giraftār dekhiye kyā ho
Top Urdushayar.com