ai sālik intizār-e-haj meñ kyā tū hakkā-bakkā hai
baghole sā tū kar le tauf-e-dil pahlū meñ makka hai
charāġh-e-gul ko raushan kar diyā aahoñ ke sho.ale se
hazāroñ darje bulbul ḳhām-parvānoñ se pakkā hai
jo hai har sañg meñ pinhāñ so ātish laal se chamkī
sabhī meñ haq hai har aarif meñ kyā sevā jhamakkā hai
ga.ī niiñ bū-e-shīr us lab se lekin dekh vo tal.at
vahī mahtāb kā hai āb-o-afsurda ho chakkā hai
ai rab irfāñ ke darpan ko na rove jauhar-e-ḳhvāhish
havas kī mauj almās-e-safā-e-dil ko lakkā hai
vo zulf-o-rū se jag hai kufr-o-īmāñ ke taraddud meñ
do dil karne kuuñ ik aalam ke merā shoḳh pakkā hai
dil-e-bairāgī-e-'uzlat' meñ rakhtā hai dam-e-hastī
kamar meñ uus miyāñ ke jaise sailī kā mutakkā hai