Wali Uzlat

mere ashkon ki gai thi rail virane pe kya guzra

Wali Uzlat

Surat, Gujarat, India

1692-1775
mere ashkoñ kī ga.ī thī rail vīrāne pe kyā guzrā
ḳhabar niiñ hazrat-e-majnūñ ke kāshāne pe kyā guzrā
in āñkhoñ ko diyā thā dil vo dīvāne pe kyā guzrā
paḌā thā baat bad-mastoñ ke paimāne pe kyā guzrā
maiñ aur zunnār hai tasbīh-e-sad-dāne pe kyā guzrā
mire kāfir hue setī ḳhudā jaane pe kyā guzrā
diyā dil vasl lene ko bigāḌā ġhair ne saudā
bukā is ġham ke hāthoñ meñ ki begāne pe kyā guzrā
vo zulfeñ bas raqīboñ ke diloñ kī saḳht girheñ thiiñ
kaho mere dil-e-sad-chāk ke shāne pe kyā guzrā
na pūchhā bhuul kar bhī fasl-e-gul meñ shīsha-ḳhū tū ne
ki is pathrāv meñ tifloñ ke dīvāne pe kyā guzrā
phire aate haiñ mastāñ dar-gah-e-pair-e-muġhāñ setī
kiyā thā ḳhāna vīrāñ shaiḳh maiḳhāne pe kyā guzrā
Dhakī thī ātish-e-gul tā-sar-e-dīvār-e-bāġh ab ke
ḳhabar 'uzlat' ko niiñ bulbul ke ḳhas-ḳhāna pe kyā guzrā
Top Urdushayar.com